rahzan nahin harif nahin ham-safar nahin
rah-e-talab men ahl-e-havas ka guzar nahin
a.in-e-bazm-e-dahr se tu be-ḳhabar nahin
lekin ḳhuda ka shukr ki main kam-nazar nahin
husn-e-nigah-o-kam-nazari men ye farq hai
sab ba-hunar hain aur koi ba-hunar nahin
nashr-e-jafa-o-jaur bhi hai ik ada-e-ḳhas
husn-e-nigah-e-lutf se main be-ḳhabar nahin
nazan hain apni himmat-o-jur.at pe rah-rau
isar-e-rahnuma pe kisi ki nazar nahin
saaqi ki ek baat hai tafsir-e-ka.enat
tu kam-nazar nahin to koi kam-nazar nahin
apne ḳhulus par hai mujhe ‘raz’ e’timad
nashtar-zani se ghair ki main be-ḳhabar nahin
Leave a Reply