ḳhushi mahsus karta huun na gham mahsus karta huun
magar haan dil men kuchh kuchh zer-o-bam mahsus karta huun
mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se nirali hai
alam koi nahin lekin alam mahsus karta huun
miri nazron men ab baaqi nahin hai zauq-e-kufr-o-din
main ik markaz pe ab dair-o-haram mahsus karta huun
jo lutf-e-zindagani mil raha tha ghaTta jaata hai
ḳhalish jo dil men rahti thi vo kam mahsus karta huun
tumhare zikr par kab munhasir hai dil ki betabi
kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsus karta huun
kabhi paata huun dil men ek hashr-e-dard-e-betabi
kabhi main apne dil men dard-o-gham mahsus karta huun
zaban par meri shikva aa nahin sakta zamane ka
ki har aalam ko main un ka karam mahsus karta huun
ye dil men hai jo ghabrahaT ye ankhon men hai jo aansu
is ehsan ko bhi bala-e-karam mahsus karta huun
ḳhushi ki mujh ko ab bahzad kuchh hajat nahin baaqi
ki gham ko bhi main ab un ka karam mahsus karta huun
Leave a Reply