hava men uḌta koi ḳhanjar jaata hai
sar uncha karta huun to sar jaata hai
dhuup itni hai band hui jaati hai aankh
aur palak jhapkun to manzar jaata hai
andar andar khokhle ho jaate hain ghar
jab divaron men paani bhar jaata hai
chha jaata hai dasht o dar par shaam Dhale
phir dil men sab sannaTa bhar jaata hai
‘zeb’ yahan paani ki koi thaah nahin
kitni gahra.i men patthar jaata hai
Leave a Reply