ye daḌhiyan ye tilak dhariyan nahin chaltin
hamare ahd men makkariyan nahin chaltin
qabile valon ke dil joḌiye mire sardar
saron ko kaaT ke sardariyan nahin chaltin
bura na maan agar yaar kuchh bura kah de
dilon ke khel men ḳhuddariyan nahin chaltin
chhalak chhalak paḌin ankhon ki gagaren aksar
sambhal sambhal ke ye panhariyan nahin chaltin
janab-e-‘kaif’ ye dilli hai ‘mir’ o ‘ghalib’ ki
yahan kisi ki taraf-dariyan nahin chaltin
Leave a Reply