ḳhvahish-e-jan ko azmana hai
gham pukare to muskurana hai
husn phir le raha hai angḌa.i
pyaar ko phir fareb khana hai
ik tire gesuon ki chhanv men
har ujala sameT laana hai
un ko barish ka ḳhauf hai jin ko
apna ghar aag men jalana hai
vo chamak huun ki ra.egan ho kar
dar-o-divar ko sajana hai
aate aate qarar aa.ega
rafta rafta tujhe bhulana hai
Leave a Reply