ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujh se
jitni ummiden hain vabasta hain tanha tujh se
ham ne pahli hi nazar men tujhe pahchan liya
muddaton main na hue log shanasa tujh se
shab tarik firozan tiri ḳhushbu se hui
sub.h ka rang hua aur bhi gahra tujh se
be-ta.alluq bhi hain har rang har andaz se ham
vo ta.alluq bhi hai qaa.em jo kabhi tha tujh se
ye alag baat zaban saath na de pa.egi
dil ka jo haal hai kahna to paḌega tujh se
tere siine men bhi ik daagh hai tanha.i ka
janta main to kabhi duur na hota tujh se
aankh bhi parda hai takne nahin paati suraj
dil bhi divar hai milne nahin deta tujh se
kyuun azal se tire hamrah chala aata hai
jaane kya chahta hai naqsh-e-kaf-e-pa tujh se
ye alag baat tujhe TuuT ke chaha lekin
dil-e-be-maya ne kuchh bhi nahin chaha tujh se
raat aa.i to talab sham.a nahin ki dil ne
dhuup nikli hai to saaya nahin manga tujh se
jis se vabasta hai ‘shahzad’ muqaddar tera
raushni maang raha hai vo sitara tujh se
Leave a Reply