na ghar sukun-kada hai na karkhana-e-ishq
magar ye ham hain ki likhte rahe hain nama-e-ishq
bahut se naam the ab koi yaad aata nahin
hamare dil men raha dafn ik khazana-e-ishq
sab apne apne tariqe se bhiik mangte hain
koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq
tumhi pe kya ki ham ab khud pe bhi nahin khulte
to kya ye kam hai ki ham par khula fasana-e-ishq
kai zamane gae aur badal gaya sab kuchh
magar kabhi nahin badla tira zamana-e-ishq
sulagte rahne ki lazzat use kahan maalum
ki jab talak koi banta nahin nishana-e-ishq
use phir apni khabar bhi nahin rahi ‘abid’
laga hai jis ko bhi ik baar taziyana-e-ishq
Leave a Reply