lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota
lucknow lalon ke madan se badakhshan hota
ai pari tu vo pari hai ki tiri dekh ke shakl
har farishta ki tamanna hai ki insan hota
rah gaya parda mira varna tire jaate hi
na ye daman nazar aata na gareban hota
aa nikalta kabhi zahid jo tiri mahfil men
haath men shisha-e-mai taaq pe quran hota
khair guzri jo khule balon ko us ne bandha
varna majmua anasir ka pareshan hota
mar gaya zulf ki main pech utha kar ai ‘barq’
kyuun na afsana mira khvab-e-pareshan hota
Leave a Reply