sub.h-e-azal se sham-e-abad tak aana jaana hota hai
manzil tak jaane ka rasta kis ne paana hota hai
main ik aurat huun ghar bhar ki zimmedari hai meri
mardon ko to kaam baḌe hain chand pe jaana hota hai
meri baari men hi qismat kyon karti hai man-mani
hone ko to jo hota hai ek bahana hota hai
laila aur majnun ke qisse tere mere qisse hain
ek hamesha mar jaata hai ek divana hota hai
aaj hamare bachche ham ko log purane kahte hain
in ko kya malum ki har dastur purana hota hai
Leave a Reply