• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Us Gul-Rang Ka diwar Hona

Hai Us Gul-Rang Ka diwar Hona

muneer-niyazi

hai us gul-rang ka divar hona

ki jaise khvab se bedar hona

batati hai mahak dast-e-hina ki

kisi dar ka pas-e-divar hona

use rakhta hai sahraon men hairan

dil-e-shair ka pur-asrar hona

kamal-e-shauq ka hasil yahi hai

hamara shahr se be-zar hona

firaq aghaz hai un saaton ka

hai akhir jin ka vasl-e-yar hona

yahi hona tha akhir dasht-e-gham ko

hamare haath se gulzar hona

mohabbat ka sabab hai be-niyazi

kashish us ki hai bas dushvar hona

‘munir’ achchha nahin lagta ye tera

kisi ke hijr men bimar hona

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Jab Dega Jo Kuchh Dega Dega Apne Walon Ko

afzal-ahmad-syed

Ye Nahr-e-Ab Bhi Uski Hai Mulk-e-Sham Us Ka

Rang Aur Nur Ki Tamsil Se Hoga Ki Nahin

Maut Hai Zindagi Zindagi Maut Hai

Ghair Ke Ghar Sahi Wo Aaya To

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet