• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Waris

Waris

akbar-hyderabadi

vo abnormal nahin tha

sirf us ko normal banne ki hasrat thi

kai ḳhanon men us ki zindagi baTne lagi thi

vo apni koshish-e-na-mo’tabar se tang aa kar

nim-jan ho kar

ek ḳhane men panah lene laga tha

bani amat-gah-e-tir-e-nafrat shaḳhsiyat us ki

use bhi ḳhud se nafrat ho chuki thi

magar is nafrat-e-manus ki takrar se us ne

durusht o na-muvafiq zindagi se sulh kar li thi

yahi tha kisa-e-aḳhlaq us ka

gharibi ne sharafat chhin li thi

aur us ki shaḳhsiyat ke pairahan men

guhar-baron ke badle sang-reze jaḌ diye the

vo abnormal nahin tha

magar ab us men ḳhud ko normal karne ka yaara bhi nahin tha

use ab ye gavara bhi nahin tha

gali-kuchon ki saari gandagi ka

tirgi ka

vo ab haqdar varis ban chuka tha

Filed Under: Nazm Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

obaidullah-aleem

Wahshaten Kaisi Hain Khwabon Se Ulajhta Kya Hai

Kaam Itni Hi Faqat Rahguzar Aaegi

bashir-badr

Chae Ki Pyali Mein Nili Tablet Gholi

Jab Jab Usko Yar Manana paDta Hai

Hausle the Kabhi Bulandi Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet