koi charagh ata kar koi gulab utaar
vagarna shahr-e-sitam par vahi azaab utaar
zamin-e-shahr ko is darja munjamid kar de
har ek chiḳh uThe sar pe aftab utaar
hamen barahna kiya tu ne har zamane men
zamin pe tu bhi kabhi ḳhud ko be-hijab utaar
har ek haath men ya kasa-e-gada.i de
vagarna sab ke liye rizq be-hisab utaar
main tere nuur ka munkir nahin falak vaale
magar zamin pe kabhi apna mahtab utaar
Leave a Reply