junun-e-shauq ki sar-gardiyan kahan tak hain
fareb-e-husn tiri bastiyan kahan tak hain
kisi ki yaad hai dil men na koi aks-e-jamil
zahe-nasib ye mahrumiyan kahan tak hain
kaThin hai zabt kahe to hai ḳhauf-e-rusva.i
dil-e-gharib ki majburiyan kahan tak hain
use ye shauq sahara ho umr bhar mera
mujhe ye fikr ye hamdardiyan kahan tak hain
ye qahr-qahr nigahen ye zahr-zahr suḳhan
main sochta huun tiri talḳhiyan kahan tak hain
labon pe giit vafa ke dilon men bughz-o-inad
uruj-e-dahr ki ye pastiyan kahan tak hain
Leave a Reply