ye kya ki baiTh ga.e gard-e-rahguzar ki tarah
safar tamam karo dosto safar ki tarah
ruke jo raah men un par na-jane kya guzri
hamin to dhuup hai ab saya-e-shajar ki tarah
faza faza jo pareshan hain abr ki surat
sadaf sadaf vo milenge kabhi guhar ki tarah
gham-e-jahan ki tapish se sulag rahe hain badan
hayat bhi hai kisi dasht ke safar ki tarah
kabhi to aa ki ho raushan charagh-e-sham-e-visal
mira bhi ghar nazar aa.e kabhi to ghar ki tarah
Leave a Reply