yaar se ab ke gar milun ‘taban’
to phir us se juda na huun ‘taban’
ya bhare ab ke us se dil mera
ishq ka naam phir na luun ‘taban’
mujh se bimar hai mira zalim
ye sitam kis tarah sahun ‘taban’
aaj aaya hai yaar ghar mere
ye khushi kis se main kahun ‘taban’
main to bezar us se huun lekin
dil ke hathon se kya karun ‘taban’
vo to sunta nahin kisi ki baat
us se main haal kya kahun ‘taban’
baad muddat ke mah-ru aaya
kyuun na us ke gale lagun ‘taban’
Leave a Reply