kaise kabhi kisi ko dikha.ega a.ina
jab ek dusre ko laḌa.ega a.ina
jis raushni pe aks ka dar-o-madar hai
us raushni ko kaun dikha.ega a.ina
fitrat men us ki naz-ḳhirami nahin to phir
kyunkar kisi ke naaz uTha.ega a.ina
samjho ki a.ine ka janaza nikal gaya
jis din amir-e-shahr ko bha.ega a.ina
aisa nahin ki sirf sanvarega shaḳhsiyat
ehsan bhi na tum pe jata.ega a.ina
parda paḌa ho ankhon pe mumkin to hai magar
mumkin nahin ki aib chhupa.ega a.ina
kah do ana-parast se ‘ahya’ ki jald hi
main aur ham ke darmiyan aa.ega a.ina
Leave a Reply