jubba kisi ka aur na dastar dekhna
hai kaun muflison ka taraf-dar dekhna
tarz-e-suḳhan na shoḳhi-e-guftar dekhna
insaniyat ka kaun hai gham-ḳhvar dekhna
ye arsa-e-hayat bhi suraj ki zad pe hai
lamhon ke ba.ad saya-e-divar dekhna
har zaad ye hayat ka meri nazar men hai
mera safar hai surat-e-parkar dekhna
divar-o-dar pe kaisi musallat hai ḳhamushi
nairangi-e-zariya-e-iz.har dekhna
jo dars de rahe hain farogh-e-kitab ka
kitne vahi hain ilm se bezar dekhna
manshur jis ka usva-e-shabbir ho ‘ra.is’
aisa hai kaun sahab-e-kirdar dekhna
Leave a Reply