kam na hogi ye sargirani kya
yuun hi guzregi zindagani kya
ashk pahle kahan nikalte the
ho ga.i aag paani paani kya
saare kirdar ek hi saf men
ḳhatm hone ko hai kahani kya
aa.ine men hai phir vahi surat
yuun hi hoti hai tarjumani kya
rabt kitna hai do kinaron men
koi dariya hai darmiyani kya
muskurahaT pe hairati ki girah
aur khulne lage ma.ani kya
Leave a Reply