Shayad Mujhe Tumne Kabhi Samjha Bhi Nahin Tha

shāyad mujhe tum ne kabhī samjhā bhī nahīñ thā

maiñ varna zamāne meñ muammā bhī nahīñ thā

kuchh der chamaktā mire ghar meñ to vo kaise

vo to mirī palkoñ kā sitārā bhī nahīñ thā

jaisā mujhe barbād-e-jahāñ us ne kiyā hai

is tarah to maiñ ne kabhī sochā bhī nahīñ thā

dekhā to ye sochā ki hamesha se huuñ vāqif

pahle to agarche use dekhā bhī nahīñ thā

āvāz diye jaatā thā dil duur se us ko

go us ne palaT kar mujhe dekhā bhī nahīñ thā

vāqif hue duniyā se to mālūm huā ye

apnā jise samjhe the vo apnā bhī nahīñ thā

kahne kī hai ye baat ki vo chhoḌtā duniyā

sachchā thā vo ‘ādil’ magar itnā bhī nahīñ thā

Leave a Comment