na-ḳhush gada.i se na vo shahi se ḳhush hue
mazlum zalimon ki tabahi se ḳhush hue
sad-manzila vo qasr-e-ana Dher ho gaya
ahbab pul-sirat ke raahi se ḳhush hue
zinda dilon pe rashk to karti hai maut bhi
ham sarfarosh ahd-e-ilahi se ḳhush hue
farzin ke samne hai piyada Data hua
ahl-e-bisat aise sipahi se ḳhush hue
vo taliban-e-sar ye musharraf-ba-mal-o-zar
zehni ghulam zill-e-ilahi se ḳhush hue
kya ḳhaak Tik sakenge ḳharide hue gavah
sarkar aap kaisi gavahi se ḳhush hue
aate nahin hain ḳhair ujale men ba.az log
shab-zinda-dar shab ki siyahi se ḳhush hue
Leave a Reply