aankh jab barse to kya puchhna mausam kaisa
zaḳhm taqdir men likha hai to marham kaisa
hadisa guzra tha vo ek hi lamhe ke liye
zindagi phir ye bata roz ka matam kaisa
ab na divar se shikva hai na saa.e ki talab
dhuup jab mera muqaddar hai to phir gham kaisa
asman raat agar roya nahin hai to bata
barg-e-gul par hai bhala qatra-e-shabnam kaisa
is se pahle nahin dekhi thi udasi itni
hai ‘siya’ aaj ye mayusi ka aalam kaisa
Leave a Reply