ye dil nahin nuur ka hai sho.ala kisi ko is se zarar nahin hai
misal barq-o-sharar hai lekin mizaj barq-o-sharar nahin hai
hai ru-kash-e-aftab zarra baghair parda bila-vasila
vahan laga.i hai aankh dil ne jahan majal-e-nazar nahin hai
haram se nikle talash-e-but men buton se yad-e-ḳhuda pe bigḌi
gharaz ham avara-e-vafa hain kahin hamara guzar nahin hai
jo dekhne vaale dekhte hain vo sunne valon se kya bata.en
nazar ko zauq-e-zaban nahin hai zaban ko zauq-e-nazar nahin hai
azaan ho naqus ya jaras ho muassar apni jagah pe sab hain
magar jahan main pahunch gaya huun vahan kisi ka asar nahin hai
vo nichi nazren thiin dil ki talib vafa ne go jaan nazr kar di
magar asar jo saval men tha javab men vo asar nahin hai
suḳhan mira kaif-e-dil hai ‘natiq’ vo qadr karte hain jo ho ashiq
nahin hai ye falsafa kitabi ye iktisabi hunar nahin hai
Leave a Reply