asman tha tum the ya mera sitara kaun tha
meri har manzil masafat se badalta kaun tha
bas yunhi ik zid men saari zindagi barbad ki
janta huun rog kya the aur mudava kaun tha
har qadam taaza kumak milti rahi apne ḳhilaf
mera apna hi adu mere alava kaun tha
kya kisi ummid par phir se dar-e-dil va karun
tujh se baḌh kar ḳhud bata mera shanasa kaun tha
vo to main bas pyaar kar baiTha kisi se ai ḳhuda
varna tere in khilaunon se bahalta kaun tha
Leave a Reply