sub.h-dam roti jo teri bazm se jaati hai sham.a
saaf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai sham.a
jis tarah kaale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh
dekh kar ta.aviz-e-zulf-e-yar bujh jaati hai sham.a
sirf parvana adab se dam-ba-ḳhud rahta nahin
tere ro.ab-e-husn se mahfil men tharrati hai sham.a
gher lete hain tujhe parvane us ko chhoḌ kar
jis men tu ho kab farogh us bazm men paati hai sham.a
karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh
bazm men har samt yaksan nuur pahunchati hai sham.a
parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam
ru-ba-ru tere ruḳh-e-raushan ke sharmati hai sham.a
ja-e-girya sohbat-e-ahle–tamasha hai ‘asar’
hai baja roti hui jo bazm men aati hai sham.a
Leave a Reply