dard ki intiha nahin ma.alum
hashr kyunkar uTha nahin ma.alum
kaun hai ashna nahin ma.alum
kaun dega dagha nahin ma.alum
vo to ruḳhsat hue gale mil kar
kab Talegi bala nahin ma.alum
ai masiha mira ilaaj na kar
tujh ko meri dava nahin ma.alum
doston ka ḳhulus yaad raha
dushmanon ki ada nahin ma.alum
phuul murjha ga.e gulistan ke
kaisa jhonka chala nahin ma.alum
kis ko main ba-vafa kahun ‘maikash’
kaun hai ba-vafa nahin ma.alum
Leave a Reply