sahil pe samundar ke kuchh der Thahar ja.un
mumkin hai ki maujon ke mathe pe ubhar ja.un
tapte hue lamhon ko sairab to kar ja.un
ik mauj-e-sada ban kar sahra men bikhar ja.un
har sang hai ik shisha har shisha hai ik patthar
ai shahr-e-tilism aḳhir Thahrun ki guzar ja.un
laao na ujalon ko is shahr ki sarhad tak
aisa na ho main apne saa.e se hi Dar ja.un
har samt fazaon men pathrav ka aalam hai
shishe ka badan le kar ja.un to kidhar ja.un
har shaam mire dil men deta hai sada koi
main Dubte suraj ke hamrah na mar ja.un
roke na agar mujh ko is dasht ki tanha.i
‘ishrat’ main havaon ke paikar men utar ja.un
Leave a Reply