ai mard-e-khuda ho tu parastar butan ka
mazhab men mire kufr hai inkar butan ka
lagti vo tajalli sharar-e-sang ke manind
muusi tu agar dekhta didar butan ka
gardan men mire tauq hai zunnar ke manind
huun ishq men az-bas-ki gunahgar butan ka
donon ki tuk ik sair kar insaf se ai shaikh
kaabe se tire garm hai bazar butan ka
duun saari khudai ko evaz un ke main ‘taban’
koi mujh sa bata de tu kharidar butan ka
Leave a Reply