kashti chala raha hai magar kis ada ke saath
ham bhi na duub jaaen kahin na-khuda ke saath
dil ki talab padi hai to aaya hai yaad ab
vo to chala gaya tha kisi dilruba ke saath
jab se chali hai aadam o yazdan ki dastan
har ba-vafa ka rabt hai ik bevafa ke saath
mehman mezban hi ko bahka ke le uda
khushbu-e-gul bhi ghuum rahi hai saba ke saath
pir-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
thoda sa ikhtilaf hai mard-e-khuda ke saath
shaikh aur bahisht kitne taajjub ki baat hai
ya-rab ye zulm khuld ki ab-o-hava ke saath
padhta namaz main bhi huun par ittifaq se
uthta huun nisf raat ko dil ki sada ke saath
mahshar ka khair kuchh bhi natija ho ai ‘adam’
kuchh guftugu to khul ke karenge khuda ke saath
Leave a Reply