rakkhe har ik qadam pe jo mushkil ki agahi
milti hai us ko raah se manzil ki agahi
sikha hai aadmi ne ka.i tajrabon ke ba.ad
tufan se hi milti hai sahil ki agahi
us ka ḳhuda se rabta hi kuchh ajiib hai
duniya kahan samajhti hai saa.il ki agahi
nazron ka e.atibar to hai phir bhi mera dil
hai ik sahifa jis men masa.il ki agahi
din-rat jis ke pyaar men rahti huun be-qarar
us ko nahin hai kyuun dil-e-bismil ki agahi
yadon ke ik hujum men rah kar pata chala
tanha.i bhi to rakhti hai mahfil ki agahi
ḳhanjar ka e.atibar nahin vo to saaf hai
lekin milegi ḳhuun se qatil ki agahi
mashq-e-suḳhan ‘sabila’ nikharegi fan ko aur
matlub hai kuchh aur abhi dil ki agahi
Leave a Reply