kahan koi ḳhazana chahta huun
zara sa muskurana chahta huun
mujhe maujen uchhale ja rahi hain
main kab se Duub jaana chahta huun
jo purkhon ka sunahra kal yahi hai
to vapas lauT jaana chahta huun
koi dil ho kira.e ka makan hai
main ab zaati Thikana chahta huun
ḳhuda meri ana mahfuz rakkhe
main do roTi kamana chahta huun
jo tu aa.e bisat-e-zindagi par
to ḳhud ko haar jaana chahta huun
Leave a Reply