kaise kaise mile din ko saa.e hamen
raat ne bhed saare bata.e hamen
raz-e-hasti to kya khul sakega kabhi
mil ga.e the magar kuchh kina.e hamen
gard hain karvan-e-guzishta ki ham
kya ab ankhon pe koi biTha.e hamen
saari dil-dariyan dekh kar so.e hain
ab na zanhar koi jaga.e hamen
naaz jin se hamare na uTh paa.e the
aaj le ja rahe hain uTha.e hamen
dhuup men zindagi ki jale hain bahut
le chalo dosto saa.e saa.e hamen
ik nava thi fazaon men gum ho ga.i
ham yahin hain magar kaun paa.e hamen
chal diye the ‘muhib’ chhoḌ kar naav tum
Dubte dam bahut yaad aa.e hamen
Leave a Reply