aaj phir us dil-nashin par aa gaya hai
dil jahan tha phir vahin par aa gaya hai
ek shahzade khuda ke asare par
kufiyon ki sarzamin par aa gaya hai
sar nigun jab se kiya hai tere aage
asman meri jabin par aa gaya hai
vo jo kal tak haan men haan karta tha meri
aaj to vo bhi nahin par aa gaya hai
khvab men iblis ne aa kar bataya
aadmi aadam ke diin par aa gaya hai
tujh se pahle bhi makan khali nahin tha
tu magar is ke makin par aa gaya hai
mujh se ‘momin’ ka pata kya puchhte ho
aankh kholo vo yahin par aa gaya hai
Leave a Reply