ishq men avval fana darkar hai
dil siin tark-e-ma-siva darkar hai
tark-e-maqsad ain maqsad hai use
jis kuun dil ka muddaa darkar hai
dil ba-tang aaya hai ab lazim hai aah
ghuncha-e-gul kuun saba darkar hai
zakhmi-e-gham kyuun na khinche ah-e-dard
halq-e-bismil kuun sada darkar hai
vasf zulf-e-yar ka asan nahin
rishta-e-fikr-e-rasa darkar hai
hai lab-e-saqi men chashma khizr ka
gar tujhe ab-e-baqa darkar hai
rang mera kan-e-zar hai ai sanam
mujh siin aa mil gir tala darkar hai
gosha-e-abru dikha ai qibla-ru
mujh kuun mehrab-e-dua darkar hai
dil raqibon ka jalane ai ‘siraj’
atishin-ru dilruba darkar hai
Leave a Reply