jis dam tire kuche se ham aan nikalte hain
har gaam pe dahshat se be-jan nikalte hain
ye aan hai ai yaaro ya nok hai barchhi ki
ya siine se tiron ke paikan nikalte hain
rindon ne kahin un ki khidmat main be-adabi ki
jo shaikh ji majlis se sarsan nikalte hain
ye tifl-e-sarishk apne aisa ho miyan bahken
be-tarah ye ab ghar se nadan nikalte hain
ye zid hai jinhen yaaro aa jaaen jo mashhad par
to thaam ke hathon se daman nikalte hain
kis tarah ghubar un tak pahunchega bhala apna
‘asif’ jo kabhi ghar se khuban nikalte hain
Leave a Reply