tere palaT aane se dil ko aur ik sadma hua
vo naqsh ab baaqi kahan jo tha tera chhoḌa hua
yuun aaj a.ine se mil kar jism sannaTe men hai
ik aur hi chehra tha is men kal talak hansta hua
donon kahin mil baiTh kar bah jaa.en pal bhar ke liye
is vaqt se haT kar ke ho dariya koi bahta hua
mashkuk ankhon se nikalte hain bichhaḌne ke sile
tu soch le mil ja.unga main to yahin Thahra hua
sha.ir kahan tha sirf tha jazbat ka taj-e-tapish
sahil ki sukhi ret men aksar yahi charcha hua
Leave a Reply