• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun

Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun

aziz-bano-darab-wafa

main us ki baat ke lahje ka e’tibar karun

karun ki us ka na main aaj intizar karun

main sirf saaya huun apna magar ye zid hai mujhe

ki apne-ap ko khud se alag shumar karun

ajab mizaj hai us ka bhi chahta hai ki main

ba-taur-e-vaza faqat khud ko ikhtiyar karun

main ik athah samundar huun is khayal men gharq

ki duub jaun main khud men ki khud ko paar karun

khud apne-ap se milne ke vaste pahle

main apne-ap ko dariya se abshar karun

main us ki dhuup huun jo mera aftab nahin

ye baat khud pe main kis tarah ashkar karun

kisi qadim kahani men ek muddat se

vo so raha hai ki main us ko hoshiyar karun

phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke

khud apne paanv ki aahat ka intizar karun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nagin Hai Zulf-E-Yar Na Zinhaar Dekhna

Bhuli-Bisri KHwahishon Ka Bojh Aankhon Par Na Rakh

Tujhe Pa Kar Kabhi Dekha Nahin Hai

akhtar-shirani

Bujha Sa Rahta Hai dil Jab Se Hain Watan Se Juda

akhtar-ul-iman

Aakhiri Mulaqat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet