kis hasin ḳhvab ka fasana hai
zindagi dard ka tarana hai
sab ki nazron men vo divana hai
jis ka andaz sha.irana hai
maut hi zindagi ki manzil hai
zindagi maut ka bahana hai
muflison ka bhi aur shahon ka
qabr hi aḳhiri Thikana hai
zindagi hai koi hasin mahbub
jis ka andaz qatilana hai
mar chuki hai ye vasl ki hasrat
teri yadon se dil lagana hai
ghuḌkiyon aur galiyon ke siva
kya gharibon ka mehnatana hai
mar gaya hai zamir logon ka
ye zamana bhi kya zamana hai
tu mujhe mat qubul kar lekin
tujh se rishta mira purana hai
ba.ad marne ke qabr men ‘arif’
kaun apna hai aur begana hai
Leave a Reply