shaam ne jab palkon pe atish-dan liya
kuchh yadon ne chutki men loban liya
darvazon ne apni ankhen nam kar liin
divaron ne apna siina taan liya
pyaas to apni saat samundar jaisi thi
nahaq ham ne barish ka ehsan liya
main ne talvon se bandhi thi chhanv magar
shayad mujh ko suraj ne pahchan liya
kitne sukh se dharti odh ke soe hain
ham ne apni maan ka kahna maan liya
Leave a Reply