rāh-e-vafā meñ jo bhī koī jā-nashīñ bane
tujh sā bane to ḳhair hai mujh sā nahīñ bane
shāyad hamāre vāste koī nahīñ banā
shāyad kisī ke vāste ham bhī nahīñ bane
saarī zamīñ ke vāste ik āsmāñ banā
so āsmāñ ke vāste ham bhī makīñ bane
sab husn ban chuke haiñ tū sab se hasīn hai
shāyad jahāñ meñ ab koī tujh sā hasīñ bane
merī ḳhushī ke vāste mirī lahad vahīñ
us kī lahad ke paas hī bilkul vahīñ bane
terā badan ho bārishoñ kī kī buuñd kī tarah
merā badan so us ke liye sar-zamīñ bane
shāyad tumhāre vāste ik maiñ hī huuñ banā
shāyad hamāre vāste ik ho tumhīñ bane