dil bichhad kar jo chala us but-e-maghrur talak
dekhta main bhi gaya us ke taiin duur talak
jaan jaave ki na jaave rahe sar ya na rahe
chhodne ke nahin ham tujh ko to maqdur talak
ab nahin vaqt taghaful ka sun ai yar-e-aziz
pahunchiyo jald zara is dil-e-ranjur talak
ham bhi tab tak hain ki yaan jalva hai jab tak tera
hasti-e-saya bhi sach puchho to hai nuur talak
zakhm-e-dil ishq ke ghar ka to dar-e-daulat hai
bhej marham ko na hamdam mire nasur talak
qasid-o-nama-o-paigham ki mat kah ki saba
ab to vaan se nahin aati dil-e-mahjur talak
mar gae din hi ko ham hijr men sad-shukr ‘hasan’
kaam pahuncha na hamara shab-e-dijur talak
Leave a Reply