ishq aa ham suun kiya jab raam raam
ham kisi haaji ko nahin karte salam
majlis-e-rindan men zahid nahin suna
hai sabaq avval vahan ka jaam jaam
gar ḳhalasi hashr ki mangta hai tu
rindgi ke pi mai-e-gulfam faam
puchhta hai kya hamare ramz ko
be-samajh be-ishq zahid ḳhaam ḳhaam
gar dikha den yaar ke kakul ka taar
sub.h ko aalam kahega shaam shaam
ashiqi ke mohkme men hain nikat
jan-o-tan aur aql-o-dil sab daam daam
ai ‘alimullah’ zahid ko lataḌ
fazilan men ḳhush machaya dhum-dham
Leave a Reply