kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain
peḌ jo rah men samar-dar nazar aate hain
aur dastar ki taz.hik bhala kya hogi
sar kaTe sahab-e-dastar nazar aate hain
kya hua habs-zada hai jo makinon ka mizaj
ghar ke kamre to hava-dar nazar aate hain
bhuuk faqon se baghal-gir hui hai aise
shahr men qaht ke asar nazar aate hain
un ke andar ka to insan hai reza-reza
log qamat men jo kohsar nazar aate hain
apni har baat pe aḌ jaate hain bachchon ki tarah
sar-phire sahab-e-kirdar nazar aate hain
har jabin par hai saji jhuuT ki surḳhi ai ‘jan’
ab to insan bhi aḳhbar nazar aate hain
Leave a Reply