Zinda Aankhon Mein Be-Hisi Raushan

zinda āñkhoñ meñ be-hisī raushan

murda chehroñ pe tāzgī raushan

in nasīboñ pe roz ho mātam

un kī mahfil meñ raushnī raushan

ḳhud meñ us ko bujhā diyā maiñ ne

phir huā mujh meñ aur bhī raushan

bevafā thā magar bichhaḌne par

us kī āñkhoñ meñ thī namī raushan

ādatan sab se baat kartī huuñ

us kī rahtī magar kamī raushan

us ke chehre se chhan ke aatī hai

tab hī lagtī hai chāñdnī raushan

yuuñ hī raushan raheñ vo sab chehre

jin ke dam se hai zindagī raushan

Leave a Comment