maḳhfi hain abhi dirham-o-dinar hamare
miTTi se nikal a.enge ashjar hamare
alfaz se khinchi ga.i tasvir-e-do-alam
avaz men rakkhe ga.e asar hamare
zangar kiya jaata hai a.ina-e-taḳhliq
aur naqsh chale jaate hain bekar hamare
kuchh zaḳhm dikha sakta hai ye rauzan-e-divar
kuchh bhed bata sakti hai divar hamare
kyuun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz
azad kiye jaa.en giraftar hamare
kyuun shaam se viran kiya jaata hai ham ko
kyuun band kiye jaate hain bazar hamare
kya aap se ab saḳhti-e-be-ja ki shikayat
jab aap hue malik-o-muḳhtar hamare
tahsin-talab rahte hain ta-umr ki ‘azar’
paida hi nahin hote taraf-dar hamare
Leave a Reply