ye tum se kis ne kaha hai ki dastan na kaho
magar khuda ke liye itna sach yahan na kaho
ye kaisi chhat hai ki shabnam tapak rahi hai yahan
ye asman hai tum us ko saeban na kaho
rah-e-hayat men nakamiyan zaruri hain
ye tajraba hai ise sai-e-raegan na kaho
miri jabin bataegi azmaten us ki
use khuda ke liye sang-e-astan na kaho
yahan muqim hain viraniyan rag-o-pai men
tum aur kuchh bhi kaho us ko shahr-e-jan na kaho
jahan jahan bhi sitam-gar milen zarurat hai
ki us maqam ko tum jada-e-aman na kaho
muashare ka asar to zarur hai ‘alvi’
miri ghazal ko zamane ki dastan na kaho
Leave a Reply