saa.e ki tarah koi mire saath laga tha
kya ghar ki tarah dasht bhi aseb-zada tha
pursish ko na tha koi to tanha tha bahut main
mahrum jo tha sab se ḳhafa rahne laga tha
har dam na.e ehsas ka tufan tha dil men
kya janiye main kaun si miTTi se bana tha
kya kya na pareshani-e-ḳhatir se guzar aa.e
kya kya na paḌe ranj ki dekha na suna tha
naale ko usi dil men utar jaane ki hasrat
aur nai ko usi bhulne vaale ka gila tha
ashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai
main apni hi ḳhushbu se pareshan phira tha
ye kaun dil-o-jan se ham-ahang hua hai
is darja to mahsus ḳhuda bhi na hua tha
Leave a Reply