
Akhtar Ansari
din muradon ke aish ki raten
haae kya ho gaiin vo barsaten
raat ko baagh men mulaqaten
yaad hain jaise ḳhvab ki baten
hasraten sard aahen garm aansu
laai hai barshgal saughaten
ḳhvar hain yuun mire shabab ke din
jaise jaḌon ki chandni raten
dil ye kahta hai kunj-e-rahat huun
dekhna gham-nasib ki baten
jin ke dam se shabab tha zinda
haae ‘aḳhtar’ vo ishq ki ghaten

Leave a Reply