dil men kya tha jo kho gaya hai kahin
mera nuqsan ho gaya hai kahin
vo tiri khoj men raha aur phir
ghaliban tujh ko ro gaya hai kahin
rang vo le gaya magar mujh men
apni khushbu samo gaya hai kahin
teri avaz bhi nahin sunta
kya mira bakht so gaya hai kahin
ham-rah-e-sad-malal hai vo kabhi
aur har ranj dho gaya hai kahin
yuun tahi-dast-o-dil-girifta na tha
kuchh na kuchh mujh ko ho gaya hai kahin
Leave a Reply