gai fasl-e-bahar gulshan se
bulbulon ud chalo nasheman se
fatiha bhi padha na turbat par
ja ke laut aae meri madfan se
mujh ko kaafi thi qaid-e-halqa-e-zulf
bediyan kyuun banain aahan se
zulf ke pech se na rah ghafil
dosti kar dila na dushman se
ho gareban ka chaak khaak rafu
taar haath aae jab na daman se
naz-o-ishva naya nahin sikha
shokh tarrar hai ladakpan se
chhod kar tum agar gae tanha
ji nikal jaega mire tan se
hai kai din se muntazir ‘raana’
jalva dikhlao aa ke chilman se
Leave a Reply