zulmat-e-dahr ka ehsan utara jaa.e
chand se koi falak-zad pukara jaa.e
chuum kar maan ke qadam aur dua.en le kar
ghar se niklun to mire saath sitara jaa.e
furqat-o-hijr hai kya dasht-e-juda.i kya hai
tum ko ma.alum ho jab koi tumhara jaa.e
phir kahin baiTh ke pi jaa.e ikaTThe chaa.e
phir koi shaam ka pal saath guzara jaa.e
tum pe marta hai koi shaḳhs tumhare jaisa
kyuun na us shaḳhs ki ḳhatir tumhen haara jaa.e
us kam-amez ke va.adon pe bharosa kar ke
Dar hai phir se dil-e-ḳhush-fahm na maara jaa.e
kaise tinke ke sahare ko sahara samjhun
is sahare se to achchha hai sahara jaa.e
ye charaghon ko bujhane ki ghaḌi hai ‘iman’
jis ne ab chhoḌ ke jaana hai ḳhudara jaa.e
Leave a Reply